

|| Doha ||
Aadau Ram tapovanadi gamanam hatvah mriga kanchanam
Vaidehi haranam Jatayu maranam Sugreeva sambhashanam
Bali nirdalam samudra taranam Lankapuri dahanam
Pashchadravanam Kumbhakarna hananam etadhi Ramayanam
|| 1 ||
Shri Raghubeer bhakt hitakaari.
Suni lijai prabhu araj hamaari.
Nishi din dhyaan dharai jo koi.
Ta sam bhakt aur nahi hoi.
|| 2 ||
Dhyaan dhare Shivji man maahin.
Brahma Indra paar nahi paahin.
Jai jai jai Raghunaath kripala.
Sada karo santan pratipala.
|| 3 ||
Doot tumhaar veer Hanumana.
Jaasu prabhav tihoon pur jaana.
Tuv bhujadand prachand kripala.
Ravan maari suran pratipala.
|| 4 ||
Tum anaath ke naath gosaain.
Deenan ke ho sada sahaain.
Brahmaadik tav paar na paavain.
Sada ish tumhro yash gaavain.
|| 5 ||
Chaariu Ved Bharat hain saakhi.
Tum bhaktan ki lajja raakhi.
Gun gaavat Shaarad man maahin.
Surapati taako paar na paahin.
|| 6 ||
Naam tumhaar let jo koi.
Ta sam dhanya aur nahi hoi.
Ram naam hai aparampara.
Chaarihu Vedan jaahi pukaara.
|| 7 ||
Ganapati naam tumharo leenho.
Tinko pratham poojya tum keenho.
Shesh ratat nit naam tumhaara.
Mahi ko bhaar sheesh par dhaara.
|| 8 ||
Phool samaan rahat so bhaara.
Paavat kau na tumharo paara.
Bharat naam tumharo ur dhaaro.
Taason kabahun na ran mein haaro.
|| 9 ||
Naam shatruhan hriday prakaasha.
Sumirat hot shatru kar naasha.
Lakshman tumhare aagyakaari.
Sada karat santan rakhavaari.
|| 10 ||
Taate ran jeete nahin koi.
Yuddh jure Yamahun kin hoi.
Maha Lakshmi dhar avataara.
Sab vidhi karat paap ko chaara.
|| 11 ||
Sita Ram puneeta gaayo.
Bhuvaneshwari prabhav dikhaayo.
Ghat son prakat bhai so aai.
Jaako dekhat chandra lajaai.
|| 12 ||
So tumare nit paanv palotat.
Navo niddhi charanan mein lotat.
Siddhi atharah mangal kaari.
So tum par jaavai balihaari.
|| 13 ||
Aurahu jo anek prabhutaai.
So Sitapati tumahin banaai.
Ichchha te kotin samsaara.
Rachat na laagat pal ki baara.
|| 14 ||
Jo tumhare charanan chit laavai.
Taako mukti avasi ho jaavai.
Sunahu Ram tum taat hamaare.
Tumahin Bharat kul-poojya prachaare.
|| 15 ||
Tumahin dev kul dev hamaare.
Tum guru dev praan ke pyaare.
Jo kuchh ho so tumahin raaja.
Jai jai jai prabhu raakho laaja.
|| 16 ||
Rama aatma poshan haare.
Jai jai jai Dasharath ke pyaare.
Jai jai jai prabhu jyoti swaroopa.
Nigun brahma akhand anoopaa.
|| 17 ||
Satya satya jai satya-brat swaami.
Satya sanaatan antaryaami.
Satya bhajan tumhro jo gaavai.
So nishchay chaaron phal paavai.
|| 18 ||
Satya shapath Gauripati keenhi.
Tumne bhaktahin sab siddhi deenhi.
Gyaan hriday do gyaan swaroopa.
Namo namo jai jaapati bhoopa.
|| 19 ||
Dhanya dhanya tum dhanya prataapa.
Naam tumhar harat santaapa.
Satya shuddh devan mukh gaaya.
Baji dundubhi shankh bajaaya.
|| 20 ||
Satya satya tum satya sanaatan.
Tumahin ho hamare tan man dhan.
Yaako paath kare jo koi.
Gyaan prakat taake ur hoi.
|| 21 ||
Aavagaman mitai tihi kera.
Satya vachan maane Shiv mera.
Aur aas man mein jo lyaavai.
Tulsi dal aru phool chadhaavai.
|| 22 ||
Saag patra so bhog lagaavai.
So nar sakal siddhata paavai.
Ant samay Raghubar pur jaai.
Jahaan janm Hari bhakt kahaai.
|| 23 ||
Shri Hari daas kahai aru gaavai.
So Vaikunth dhaam ko paavai.
|| Doha ||
Saat divas jo nem kar paath kare chit laay.
Haridas Hari kripa se avasi bhakti ko paay.
Ram Chalisa jo padhe Ramcharan chit laay.
Jo ichchha man mein kare sakal siddh ho jaay.
Blessings of Devoted Recitation
This Ram Chalisa was composed by Saint Shri Haridas Ji. It begins with a Sanskrit Doha that briefly describes the life pastimes of Lord Ram (going to the forest, slaying the golden deer, Sita's abduction, Jatayu's death, befriending Sugriva, slaying Bali, crossing the ocean, burning Lanka, and killing demons like Kumbhakarna). The Chaupais describe the glory of Lord Ram's name, his protection of devotees, and his supreme truth-form as the Paramatma. A devotee who recites this with a true heart attains wisdom and ultimately reaches Vaikunth Dham.
O Shri Raghubeer!
You are the helper of the humble and the Lord of the orphaned.
I am ignorant and sinful; please take me into your refuge.
Destroy all my flaws and sorrows, and make me your eternal servant.
Give me the strength to walk the path of truth and grant me a place in your abode at the end of my life.
|| Jai Shri Ram ||
🌸 Jai Shri Ram 🌸
Om Ram Ramaya Namah